-
Anaar nihayat khush maza
aor raseela phal hai.
-
mazay k lihaaz say
khatta, mitha aor khatmitha teen qisam ka hota hai.
-
qandhari anaar jiskay
daanay surkh yaqooti rang k hotay hain,raseela o chashni daar hota hai.
-
anaar main ajza e
mulhima (proteins),shaker,chona (calcium),folaad,aor phosphors jaisay kaar
aamad ajza paaye jatay hain.
-
yeh ajza khoon ki
paidaesh aor badan ki perwarish main kaam aatay hain,aor khoon ko halat e
aytidaal main rakhtay hain.
-
iska chashnidaar
rus tabeat main khushi
paida kerta hai.
-
piyaas bujhata hai.
-
badan ko achi ghizaeyat
bhi daita hai.
-
sufravi aor khoni
bukharoon main anaar ka rus mareez ki piyaas bujhata hai aor hararat ko kum
kerta hai.
-
ghizaeyat ki wajah say
energy ko qayyam rakhta hai.
-
dast aarhay hoon tu bhi
is k istimaal say band hojatay hain.
-
khata aor khtmitha anaar
ghizaa ko hazam kernay main madad daita hai.
-
anaar k patoon ko pees
ker tikya bana ker dukhti ankhoon per bandhnay say dard aor surkhu door
hojati hai.
-
jin aortoon ka humal bar
bar gir jata ho anaar k taza phool pees chaan ker mitha ker k 2/3 roz tak pilanay
say humal girnay say mehfooz rahay ga.