ISTEKHARA استخارہ
"ISTEKHARA" SAY MURAD MUSHKILAAT
KAY HAL KAY LIYEE NATURE SAY RUJU KERNA
ISTEKHARAY KAY WAISAY TOO BOHAT SAY TAREEQAY HAN,MAGAR AAM TOER PER 3 DIFFERENT
TAREQAY HAN,
1-TASBEEH KAY ZERYAY:
BA-WAZU AUR QIBLA RUKH HOO KER TASBEH HATH MAIN LAIN,PHIR DONO HATHON SAY 2
JAGHA SAY DAGHA (THREAD) KO PAKRAIN,AB DONO TERAF SAY 2-2 DANAY GIRAIN,AKHIR
MAIN 1 BACHAY TOO "YES" AUR 2 BACHAY TOO "NO" SAMJHAIN.
2-SURAH FATIHA KAY ZERYAY:
BA-WAZU AUR QIBLA RUKH KHERHAY HOO KER SURAT FATIHA PERHAIN AUR JAB AAYAT "AHDAY
NAS SIRAT AL-MUSTAQEEM PER POHUNCHAIN TOO ISS AAYAT KO BAR BAR PERHAIN HATA KAY
AAP KAY SHOULDERS KHUD BA KHUD RIGHT YA LEFT KO GHOOM JAIN,JOON HEE SHOULDERS
GHOOM JAIN TOO BAQI SURAT PERH KER MUKAMIL KERAIN,RIGHT GHOMAIN TO "YES",AUR
LEFT GHOMAIN TOO "NO".
3-NEEND KAY ZERYAY:
RAAT SOONAY SAY PHELAY 2 RAQAT NAFAL NIMAZ-E-ISTKHARA PERHAIN(NIMAZ E FAJAR KI
TERHAN),AUR BAAD AZ NIMAZ 110 MERTABA "YA ALEEMO YA KHABEERO AKHBIRNI" PERHAIN
AUR APNAY MAQSAD KO ZEHAN MAIN RAKH KER QIBLA RUKH RIGHT KERWAT KER KAY SOO
JAIN,RAAT KO KHAWAB MAIN AAP KO AAP KAY MAQSAD KAY BAARAY MAIN ISHARAT MILLAIN
GEY, INSHA ALLAH.AGAR KAMYABI NA HOO TOO YEA AMAL 7 YOOM TEK MUTWATAR KERAIN.
ISTKHARA MAIN KHAWAB NA AAIYEE TOO "TAZKIYA E NAFS" KERNA CHAIYEE,KIYON KAY
KHAWAB KA TALLUQ NAFS KI SAIR SAY HAY.
NOTE:
1-KOI BHI AMAL KERNAY SAY PHELAY HASB E TOFEEQ SADQA DAIN,
2-AIK MAQSAD KAY LIYEE KISSI BHI AIK TAREEQA KO IASTMAAL KERAIN,AUR AIK HEE
SAWAL KAY LIYEE TAMAM TAREEQON KO ISTMAL KER KAY ROOHANIYAT KA IMTIHAN LAINAY KI
KOSHISH NA KERAIN,
3-PHIR BHI AGAR YEA GHALTI KER CHUKKAY HAN TOO SIRF PHELAY ISTKHARAY PER AMAL
KERAIN.
TEACHER | ADMINISTRATION | COURSES | LECTURES | LINKS | CONTACTS |